yeh bharat desh hamara hai

kuch nasha tirange ki aan ka hai,
kuch nasha maatr-bhoomi ki shaan ka hai,
hum lehraayenge har jagah isse,
yeh tiranga hindustan ki shaan ka hai...

sundar hai jag mein, sabse naam bhi pyara hai,
jaha jaati bhasa se badh kar desh prem ki dhara hai,
nischay pawan prem-purn aur vishal hriday wala hai,
yeh bharat desh hamara hai, yeh bharat desh hamara hai...

na sarkar meri, na robb mera, na bada sa naam mera,
mujhe to ek choti si baat ka gaurav hai ki,
main hindustan ka hoon, aur hindustan hamara hai...

do din ka nahi sadiyon se rishta hai,
iss watan ki mitti se attut nata hai,
hamare bujurgon ne khun dekar sichha hai iss mitti ko,
pehle watan hai, baad mein sara jahan hamara hai...

ab tak jiska khun na kholla, khun nahi woh paani hai,
jo desh ke kaam na aaye, woh bekaar jawaani hai,
aan desh ki, shaan desh ki, 

iss desh ki hum sab santaane hain,
tin rang se ranga tiranga,
apni to bas yehi ek pehchan hai...

main hoon hanuman aur bharat desh mera raam hai,
dekh lo chatti chir kar, dil mein aapna hindustaan hai.

aao desh ka samman kare, 
shahido ki shahadat yaad kare,
ek baar phirse rastra ki kaman,
hum hindustani apne haath dhare, 

chard jaayein jo hans kar suli mein, 
khayi jinhone sinne par goli hai,
hum unko pranaam kare,
jo mit gaye desh par,
hum unko salam kare...

yeh nafrat buri hai, na paalo isse,
dilon mein khalish hai, nikalo isse,
na tera, na mera, na inka, na uska,
yeh sabka vatan hai, bachalo issse...

sanskaar aur sanskriti ki shaan mile,
hindu muslim aur hindustaan mile,’
hum mil jul kar sab aise rahe ki,
mandir mein allha aur mazid mein raam mile...!!

Jai Hind.......!!



Comments

Post a Comment